اردو हिंदी
Shab-e-gham mein chhai ghaTa kali kali | Shaahi Shayari
shab-e-gham mein chhai ghaTa kali kali

Ghazal

Shab-e-gham mein chhai ghaTa kali kali

Qadr Bilgarami

;

shab-e-gham mein chhai ghaTa kali kali
jhuki hai bala par bala kali kali

bahut aise kale hiran hum ne dekhe
dikhate hain aankhen wo kya kali kali

DaTe mil ke rind-e-siyah-mast jis dam
jhuki mai-kade par ghaTa kali kali

shab-e-mah mein wo phire baal khole
hui chandni ja-ba-ja kali kali

ye sajde ko KHud jhuk paDegi chaman par
ki qible se uTThi ghaTa kali kali

khuli sab par aaKHir teri garm-dasti
hui kholte hi hina ka kali kali

lunDha de mai-e-surKH tu ab to saqi
ghaTa uTThi hai dekh kya kali kali

mere kaba-e-dil ke miTne ka gham hai
jo oDhe hai kaba saba kali kali

hue hain siyah-baKHt barbaad lakhon
uThin aandhiyan barha kali kali

buKHaraat dil-e-ah par chha gae hain
ghaTa hai ba-ru-e-hawa kali kali

main dekhunga munh un ka de kar ye fiqra
teri shakl hai mah-laqa kali kali

siyah nama-e-'qadr' mahshar mein nikla
uThi dhup mein ek ghaTa kali kali