shab-e-gham aish ka muzhda sunane kaun aata hai
ye mere aansuon mein muskurane kaun aata hai
Thahar sakta nahin sine mein jab dil muztarib ho kar
sukun ban kar mere pahlu mein jaane kaun aata hai
kuchal deti hai jab ehsas ko sanjidgi gham ki
shararat se mera dil gudgudane kaun aata hai
bhayanak tirgi mein gham ki jab dam ghuTne lagta hai
charagh-e-kushta-e-ishrat jalane kaun aata hai
shab-e-gham dil pe chha jata hai jab ek huzn-e-be-KHwabi
nashat-e-ruh ban ban kar sulane kaun aata hai
wafur-e-yas kar deta hai jab labrez-e-gham dil ko
KHushi ban kar mere dil mein samane kaun aata hai
ajal ke tez qadmon ki jab aahaT aane lagti hai
ba-andaz-e-masihai sirhane kaun aata hai
mera dil Dubne lagta hai jab gham ke samundar mein
meri kashti ko sahil se lagane kaun aata hai
nazar aata hai jis mein ishrat-e-mazi ka mustaqbil
mujhe is KHwab-e-ghamgin se jagane kaun aata hai
Ghazal
Shab-e-gham aish ka muzhda sunane kaun aata hai
Bismil Saeedi

