اردو हिंदी
Shab-e-furqat ki tanhai ka lamha | Shaahi Shayari
shab-e-furqat ki tanhai ka lamha

Ghazal

Shab-e-furqat ki tanhai ka lamha

Iffat abbas

;

shab-e-furqat ki tanhai ka lamha
kai raaz-e-nihani kholta hai

bahut din se wo na-manus lahja
mere dasht-e-ana mein gunjta hai

meri pahchan rishte mera maqsad
sada sargoshiyon mein puchhta hai

main sargardan hun us ki justuju mein
wo kahta hai ki mujh ko DhunDta hai

hai us se khul ke milna ab zaruri
pas-e-parda jo mujh ko dekhta hai