shab-e-firaq na kaTe kaTe hai kya kije
na subh hoe hai na pau phaTe hai kya kije
safa tha aks-e-ruKH us ke se dil ka aaina
ab us pe zang-e-kudurat aTe hai kya kije
rahim-o-ram ki sumran hai shaiKH-o-hindu ko
dil us ke nam ki raTna raTe hai kya kije
basan har mizha par para-e-dil-majruh
har ek pal na shumurda baTe hai kya kije
piye tha raat to kal ghair pas yar sharab
aur aaj qasmen hi kha kha naTe hai kya kije
ye jun jun wade ke din raat paDte jate hain
ghaDi ghaDi mein mera ji kaTe hai kya kije
raqib jam ke ye baiTha ki hum uThe na-chaar
ye patthar ab na haTae haTe hai kya kije
jigar ke TukDon se jab tak ki god bhar le aae
ye tifl-e-ashk to ro-ro haTe hai kya kije
ye duKHt-e-raz koi aise luTi mile hai 'muhib'
dil us ki tak mein apna luTe hai kya kije

Ghazal
Shab-e-firaq na kaTe kaTe hai kya kije
Waliullah Muhib