shab-e-firaq ka mara hun dil-girafta hun
charagh-e-tirah-shabi hun main jalta rahta hun
kabhi ka mar diya hota zindagi ne mujhe
ye shukr hai ki main zinda-dili se zinda hun
koi fareb-e-tamanna na jalwa aur na KHayal
dayar-e-ishq mein tanha tha aur tanha hun
zamana meri hansi ko KHushi samajhta hai
main muskura ke jo KHud ko fareb deta hun
na sun sakoge ab ashaar mere ai logo
qalam ko KHun mein Dubo kar main sher kahta hun
ye inqalab hai kal main ne rah dikhai thi
aur aaj rah mein KHud hi bhaTakta phirta hun
jadidiyat ka hun shaida riwayaton ka amin
main imtizaj mein donon ke sher kahta hun
jise na dosti mahbub aur na pas-e-wafa
us aadmi se hamesha gurez karta hun
'shafiq' mujh ko na ilzam den azal se hi
KHata-sarisht hai meri KHata ka putla hun
Ghazal
Shab-e-firaq ka mara hun dil-girafta hun
Shafiq Dehlvi