اردو हिंदी
Shab-e-firaq ka dhoka kabhi sahar ka fareb | Shaahi Shayari
shab-e-firaq ka dhoka kabhi sahar ka fareb

Ghazal

Shab-e-firaq ka dhoka kabhi sahar ka fareb

Masood Maikash Muradabadi

;

shab-e-firaq ka dhoka kabhi sahar ka fareb
kamal-e-zauq-e-tamasha hai ya nazar ka fareb

mujhe hayat ki sarhad se dur le aaya
giraft-e-hosh se pahle teri nazar ka fareb

ghubar-e-rah mein gum ho gae rahin-e-safar
magar na TuT saka phir bhi rahbar ka fareb

meri hayat teri zulf ki panah mein hai
shikast de na sakega mujhe sahar ka fareb

teri nazar ka karishma nahin to phir kya hai
taghayyuraat-e-zamana ye bahr-o-bar ka fareb

tumhaari anjuman-e-naz tak mujhe laya
meri nigah ka taqaza meri nazar ka fareb

hudud-e-kucha-e-jaanan ke ma-siwa 'maikash'
har ek gam pe milta hai KHair-o-shar ka fareb