shab-e-firaq jo dil mein KHayal-e-yar raha
pas-e-fana bhi tasawwur mein intizar raha
uDa rahe hain meri KHak ko wo Thokar se
ilahi mujh se to achchha mera ghubar raha
nazar milate hi hathon se dil chala mera
kisi ko dekh ke dil par na iKHtiyar raha
kisi ki nargis-e-mastana phir gai jab se
na wo surur na aankhon mein wo KHumar raha
shab-e-firaq ki tanhai mein tha kaun anis
KHayal-e-yar hi ek apna gham-gusar raha
wafa nahin to nahin murid-e-jafa hi sahi
hazar shukr ki main daKHil-e-shumar raha
ye Dore Dale hain kis chashm-e-mast ne ai 'naz'
ki hashr tak meri aankhon mein ek KHumar raha

Ghazal
Shab-e-firaq jo dil mein KHayal-e-yar raha
Sher Singh Naaz Dehlvi