shab-e-be-mah bhi us ki nahin kali hogi
jis ne katran bhi tere nur ki pa li hogi
log kahte hain koi tujh sa hasin aur bhi hai
main ye kahta hun ki ye baat KHayali hogi
us ne bhi mujh ko yahi soch ke DhunDa na kabhi
main ne ab tak to nai duniya basa li hogi
jab suna ek andhera sa hai ghar mein mere
dukh se bole meri taswir haTa li hogi
hain pasheman wo moattal tujhe kar ke ai dil
gham na kar phir usi mansab pe bahaali hogi
aaTh das sal mein 'mannan' ye ejaz-e-suKHan
tum ne kuchh umr-e-suKHan apni chhupa li ho hogi
Ghazal
Shab-e-be-mah bhi uski nahin kali hogi
Mannan Bijnori