shab Dhali utar gaya phir ishq ka nasha mera
kya hua wo der tak usi ko DhunDhna mera
uljhanen tamam umr zat mein rahin mere
kash mere hath phir lage koi sira mera
mujh se wo sukun mangta hai ye bhi din hai ek
jo tamam umr hi bana raha KHuda mera
zindagi jo ji gai udasiyon se thi bhari
ye pairahan bhi tha ghamon ke than se sila mera
marsiya jo paDh saka na lash par meri abhi
wo ga raha hai mahfilon mein ban ke aashna mera
sans lun to yun lage koi gunah kar diya
ab to koi faisla suna hi de KHuda mera
Ghazal
Shab Dhali utar gaya phir ishq ka nasha mera
Puja Bhatia