shab Dhale gumbad-e-asrar mein aa jata hai
ek saya dar-o-diwar mein aa jata hai
main abhi ek hawale se use dekhta hun
dafatan wo nae kirdar mein aa jata hai
yun shab-e-hijr shab-e-wasl mein Dhal jati hai
koi mujh sa meri guftar mein aa jata hai
mujh sa diwana koi hai jo tere nam ke sath
raqs karta hua bazar mein aa jata hai
jab wo karta hai nae Dhab se meri baat ko radd
lutf kuchh aur bhi guftar mein aa jata hai
dekhna us ko bhi paDta hai miyan duniya mein
samne jo yunhi be-kar mein aa jata hai
ek din qais se ja milta hai wahshat ke tufail
jo bhi is dasht-e-suKHan-zar mein aa jata hai
main kabhi KHud ko agar DhunDhna chahun 'ahmad'
dusra mariz-e-izhaar mein aa jata hai
Ghazal
Shab Dhale gumbad-e-asrar mein aa jata hai
Ahmad Rizwan