shab bhar rawan rahi gul-e-mahtab ki mahak
pau phuTte hi KHushk hua chashma-e-falak
mauj-e-hawa se kanp gaya ruh ka charagh
sail-e-sada mein Dub gai yaad ki dhanak
phir ja rukegi bujhte KHarabon ke des mein
suni sulagti sochti sunsan si saDak
ruKH pher kar jo abr-e-shabana mein chhup gaya
ji mein phira karegi usi chand ki chamak
phir pichhle pahar aaina-e-ashk mein 'zafar'
larzan rahi wo sanwli surat sawer tak
Ghazal
Shab bhar rawan rahi gul-e-mahtab ki mahak
Zafar Iqbal