اردو हिंदी
Shayad meri fariyaad sunai nahin deti | Shaahi Shayari
shayad meri fariyaad sunai nahin deti

Ghazal

Shayad meri fariyaad sunai nahin deti

Midhat-ul-Akhtar

;

shayad meri fariyaad sunai nahin deti
qudarat jo mujhe hukm-e-rihai nahin deti

tha pahle bahut shor nihan-KHana-e-dil mein
ab to koi siski bhi sunai nahin deti

KHwabon ki tijarat mein yahi ek kami hai
chalti hai dukan KHub kamai nahin deti

har tar-e-nafas hai mutharrik mutwatir
ruKHsat hi mujhe naghma-sarai nahin deti

kya dhund hai ashkon ki musallat dil o jaan par
dekhi hui duniya bhi dikhai nahin deti

chalne ko to sab yar kamar-basta khaDe hain
jis rah pe chalna hai sujhai nahin deti

kanTon pe chalati hai koi aur hi lazzat
wahshat ka sila aabla-pai nahin deti

main qaid-e-mahaalat se dam bhar mein nikal jaun
hasil ki hawas mujh ko rihai nahin deti

main apni hi miTTi se bana leta hun 'midhat'
wo chiz jo auron ki KHudai nahin deti