shayad koi kami mere andar kahin pe hai
main aasman pe hun mera saya zamin pe hai
afsana-e-hayat ka har ek saneha
tahrir harf harf hamari jabin pe hai
dariya mein jis tarah se ho mahi usi tarah
main hun jahan pe mera KHuda bhi wahin pe hai
jannat KHuda hi jaane kahan hai kahan nahin
mujh ko yaqin hai ki jahannam yahin pe hai
yun ji rahe hain saKHt aziyyat ke bawajud
dar-o-madar zist ka jaise hamin pe hai
is tarah faslon pe fatah pa chuke hain hum
ek panw aasman pe hai ek zamin pe hai
'shadab' husn-o-ishq masawi hain aaj-kal
ilzam mujh pe hai wahi us naznin pe hai
Ghazal
Shayad koi kami mere andar kahin pe hai
Aqeel Shadab