اردو हिंदी
Shayad kisi bala ka tha saya daraKHt par | Shaahi Shayari
shayad kisi bala ka tha saya daraKHt par

Ghazal

Shayad kisi bala ka tha saya daraKHt par

Abbas Tabish

;

shayad kisi bala ka tha saya daraKHt par
chiDiyon ne raat shor machaya daraKHt par

mausam tumhaare sath ka jaane kidhar gaya
tum aae aur bor na aaya daraKHt par

dekha na jae dhup mein jalta hua koi
mera jo bas chale karun saya daraKHt par

sab chhoDe ja rahe the safar ki nishaniyan
main ne bhi ek naqsh banaya daraKHt par

ab ke bahaar aai hai shayad ghalat jagah
jo zaKHm dil pe aana tha aaya daraKHt par

hum donon apne apne gharon mein muqim hain
paDta nahin daraKHt ka saya daraKHt par