shayad jagah nasib ho us gul ke haar mein
main phul ban ke aaunga ab ki bahaar mein
kafnae baghban mujhe phulon ke haar mein
kuchh to bura ho dil mera ab ki bahaar mein
gundhwa ke dil ko lae hain phulon ke haar mein
ye haar un ko nazr karenge bahaar mein
nichla raha na soz-e-darun intizar mein
is aag ne surang laga di mazar mein
KHalwat KHayal-e-yar se hai intizar mein
aaen farishte le ke ijazat mazar mein
hum ko to jagna hai tere intizar mein
aai ho jis ko nind wo soe mazar mein
main dil ki qadr kyun na karun hijr-e-yar mein
un ki si shoKHiyan hain isi be-qarar mein
'simab' be-taDap si taDap hijr-e-yar mein
kya bijliyan bhari hain dil-e-be-qarar mein
thi tab-e-husn shoKHi-e-taswir-e-yar mein
bijli chamak gai nazar-e-be-qarar mein
baadal ki ye garaj nahin abr-e-bahaar mein
barra raha hai koi sharabi KHumar mein
umr-e-daraaz mang ke lai thi chaar din
do aarzu mein kaT gae do intizar mein
tanha mere satane ko rah jae kyun zamin
ai aasman tu bhi utar aa mazar mein
KHud husn na-KHuda-e-mohabbat KHuda-e-dil
kya kya liye hain main ne tere nam pyar mein
mujh ko miTa gai rawish-e-sharmgin teri
mein jazb ho gaya nigah-e-sharmsar mein
allah-re sham-e-gham meri be-iKHtiyariyan
ek dil hai pas wo bhi nahin iKHtiyar mein
ai ashk-e-garm mand na paD jae raushni
phir tel ho chuka hai dil-e-dagh-dar mein
ye moajiza hai wahshat-e-uryan-pasand ka
main ku-e-yar mein hun kafan hai mazar mein
ai dard dil ko chheD ke phir bar bar chheD
hai chheD ka maza KHalish-e-bar-bar mein
ifraat-e-masiyat se fazilat mili mujhe
main hun gunahgaron ki pahli qatar mein
Darta hun ye taDap ke lahad ko ulaT na de
hathon se dil dabae hue hun mazar mein
tum ne to hath jaur-o-sitam se uTha liya
ab kya maza raha sitam-e-rozgar mein
kya jaane rahmaton ne liya kis tarah hisab
do chaar bhi gunah na nikle shumar mein
o parda-dar ab to nikal aa ki hashr hai
duniya khaDi hui hai tere intizar mein
roi hai sari raat andhere mein be-kasi
aansu bhare hue hain charagh-e-mazar mein
'simab' phul ugen lahad-e-andalib se
itni to zindagi ho hawa-e-bahaar mein
Ghazal
Shayad jagah nasib ho us gul ke haar mein
Seemab Akbarabadi

