shamiyane meri ghibat mein hawa tanti hai
ganw mein mere na hone se baDi shanti hai
wo bagula hai ki uDne pe sada aamada
main jo miTTi hun to miTTi bhi kahan manti hai
dekhna kaise humakne lage sare patthar
meri wahshat ko tumhaari gali pahchanti hai
phul banti hai kali hanste-hansate lekin
us ke dil pe jo guzarti hai wahi jaanti hai
meri koshish hai ki duniya ko bana dun firdaus
aur duniya mujhe nakaron mein gardanti hai
hum ko ek haal mein qismat nahin rahne deti
kabhi miTTi mein milati hai kabhi chhanti hai

Ghazal
Shamiyane meri ghibat mein hawa tanti hai
Muzaffar Hanfi