اردو हिंदी
Shamil-e-karwan to hum bhi hain | Shaahi Shayari
shamil-e-karwan to hum bhi hain

Ghazal

Shamil-e-karwan to hum bhi hain

Ishaq Athar Siddiqui

;

shamil-e-karwan to hum bhi hain
teri jaanib rawan to hum bhi hai

ye haqiqat nahin to phir kya hai
yani wahm-o-guman to hum bhi hain

bar-e-hijrat saron pe hai apne
itne be-KHanuman to hum bhi hain

kah rahe hain KHizan zada chehre
ai bahaaro yahan to hum bhi hain

sach na mano to jhuT hi kah lo
ek ruKH-e-dastan to hum bhi hain

hum ko KHak-e-rah-e-safar mat jaan
ai zamin aasman to hum bhi hain

sirf mani ki wusaten hi nahin
lafz ke darmiyan to hum bhi hain