shamil-e-karwan na tha rahguzar tha ajab
rah mein bhi ghubar tha sar pe bar tha ajab
pesh-e-nazar khaDi rahi manzil-e-justuju magar
hath mein bhi sakat na thi panw mein KHar tha ajab
haar jo dusron ke the sanp ki misl to na the
tum ne mere gale mein jo Dala wo haar tha ajab
mere labon pe dahr ka shikwa jo tha fuzul tha
chunki darun-e-dil mujhe dair se pyar tha ajab
tul-e-shab-e-firaq si donon ki umr-e-dosti
'jamid'-e-zinda-tab-e-rasa us ka bhi yar tha ajab
Ghazal
Shamil-e-karwan na tha rahguzar tha ajab
Aqeel Jamid