sham thi hum the aur samundar tha
kis qadar dil-fareb manzar tha
ek taraf thi KHushi ujalon ki
ek taraf sham hone ka Dar tha
the pareshan tir nazron ke
jab talak dil mera hadaf par tha
wo tha kamsin ye sach sahi lekin
hasraton mein mere barabar tha
dil to tha mutmain rifaqat mein
KHauf sa dhaDkanon ke andar tha
apne hathon use ganwaya hai
jis mein pinhan mera muqaddar tha
us ki rangin qurbaton ke sabab
raat jannat-numa mera ghar tha
shahr-e-jaan ki udas galiyon mein
mushtail KHwahishon ka lashkar tha
shor kamre mein tha qayamat ka
chup ka aalam 'KHayal' bahar tha
Ghazal
Sham thi hum the aur samundar tha
Rafique Khayal

