sham tak phir rang KHwabon ka bikhar jaega kya
raegan hi aaj ka din bhi guzar jaega kya
DhunDna hai ghup-andhere mein mujhe ek shaKHs ko
puchhna suraj zara mujh mein utar jaega kya
manta hun ghuT raha hai dam tera is habs mein
gar yahi jine ki surat hai to mar jaega kya
ain mumkin hai baja hon tere andeshe magar
dekh kar ab apne sae ko bhi Dar jaega kya
soch le parwaz se pahle zara phir soch le
sath le kar ye shikasta baal-o-par jaega kya
ek hijrat jism ne ki ek hijrat ruh ne
itna gahra zaKHm aasani se bhar jaega kya
Ghazal
Sham tak phir rang KHwabon ka bikhar jaega kya
Khushbir Singh Shaad