sham tak band rahta hai kamra mera
aur kamre mein tanha khilauna mera
din ko ujli rida oDh leta hun main
dekhna raat ko phir tamasha mera
sach kaha tha sabhi mujh se naraaz hain
ab kisi se nahin rishta-nata mera
apne sheron pe mujh ko baDa faKHr hai
jaane kya gul khilaega charcha mera
do baras ka hun tifl-e-kitabi 'ghani'
ho gaya kitna bhaari hai basta mera
Ghazal
Sham tak band rahta hai kamra mera
Ghani Ghayoor