sham se hum ta sahar chalte rahe
chur the thak kar magar chalte rahe
sang ho jate jo muD kar dekhte
ungliyan kanon mein dhar chalte rahe
aasman tha aag patthar thi zamin
thi kahan ja-e-mafar chalte rahe
roz Dube roz ubhre hum magar
surat-e-shams o qamar chalte rahe
sang-bari yun to hum par bhi hui
hum Dhake hathon se sar chalte rahe
dar badar ki KHak thi taqdir mein
hum liye kandhon pe ghar chalte rahe
hum bhi hain 'bilqis' majruhin mein
hum pe bhi tir o tabar chalte rahe
Ghazal
Sham se hum ta sahar chalte rahe
Bilqis Zafirul Hasan