sham saja ke kya karen yaad ka ehtimam bhi
bhul gae hain ab to hum us ka bhala sa nam bhi
rah mein rok kar use aap hain sharmsar hum
yaad hi aa nahin raha us se tha koi kaam bhi
taq-e-mizha pe zau-fishan misl-e-charagh-o-kahkashan
us ki gali ki subh bhi us ki gali ki sham bhi
waqt-e-namaz-e-ishq tha koi na pesh-o-pusht jab
KHud hi ko muqtadi kiya KHud hi bane imam bhi
bagh-e-watan ki shaKH-e-sabz zard na ho kabhi agar
sazish-e-hukmaran se ghafil na rahe awam bhi
us ne kiwaD khol kar yun hi gali mein ki nigah
rahrawon ke darmiyan Thair gai hai sham bhi
mujh pe karam-nawaziyan dasht ki baDh na jaen kyun
wali-e-shahr-e-ishq hun us pe tera ghulam bhi

Ghazal
Sham saja ke kya karen yaad ka ehtimam bhi
Zeeshan Ilahi