sham rakhti hai bahut dard se betab mujhe
le ke chhup ja kahin ai aarzu-e-KHwab mujhe
ab main ek mauj-e-shab-e-tar hun sahil sahil
rah mein chhoD gaya hai mera mahtab mujhe
ab tak ek sham-e-siyah-posh hun sahra sahra
tujh se chhuT kar na mili rahguzar-e-KHwab mujhe
sahil-e-ab-o-sarab ek hai manzil manzil
tishnagi karti hai sairab na gharqab mujhe
main bhi sahra hun mujhe sang samajhne walo
apni aawaz se karte chalo sairab mujhe
main bhi dariya hun har ek samt rawan hun kab se
mera sahil bhi nahin manzil-e-payab mujhe
ab mujhe DhunDh na aaghosh-e-gurezan har-su
le uDi KHak baha le gaya sailab mujhe
sham puchhe to na kahna ki main duniya mein nahin
le ke phir aaega is ghar mein mera KHwab mujhe
Ghazal
Sham rakhti hai bahut dard se betab mujhe
Shahab Jafri