اردو हिंदी
Sham ne jab palkon pe aatish-dan liya | Shaahi Shayari
sham ne jab palkon pe aatish-dan liya

Ghazal

Sham ne jab palkon pe aatish-dan liya

Rahat Indori

;

sham ne jab palkon pe aatish-dan liya
kuchh yaadon ne chuTki mein loban liya

darwazon ne apni aankhen nam kar lin
diwaron ne apna sina tan liya

pyas to apni sat samundar jaisi thi
nahaq hum ne barish ka ehsan liya

main ne talwon se bandhi thi chhanw magar
shayad mujh ko suraj ne pahchan liya

kitne sukh se dharti oDh ke soe hain
hum ne apni man ka kahna man liya