sham ko subh andhere ko ujala likkhen
aalam-e-shauq mein kya jaaniye hum kya likkhen
muddaa likkhen talab likkhen tamanna likkhen
itna kuchh likh ke bhi hum KHat ko adhura likkhen
koi KHushbu na koi rang na koi aawaz
dil ko hum sang na samjhen to ise kya likkhen
ek isi soch mein gum ho gae kitne mausam
in se hum haal zabani hi kahen ya likkhen
hum ko israr ki zulmat ko ziya kyun manen
un ka ye hukm ki har shab ko sawera likkhen
maslahat hum ko bhi marghub hai lekin kab tak
KHar ko phul kahen dasht ko dariya likkhen
husn-e-masum ko mausum karen qatil se
aur qatil ko zamane ka masiha likkhen
dastan-e-dil-e-KHun-gashta kahan tak 'sahir'
ab gham-e-zat se haT kar gham-e-duniya likkhen

Ghazal
Sham ko subh andhere ko ujala likkhen
Sahir Hoshiyarpuri