اردو हिंदी
Sham kinare utra main | Shaahi Shayari
sham kinare utra main

Ghazal

Sham kinare utra main

Khurshid Rabbani

;

sham kinare utra main
ho gaya reza reza main

jangal ki virani mein
KHamoshi se gunja main

tanhai mein raushan hun
ek diya yaadon ka main

sindh kinare hun 'KHurshid'
pyas-bhara mashkiza main