sham KHamosh hai peDon pe ujala kam hai
lauT aae hain sabhi ek parinda kam hai
dekh kar sukh gaya kaise badan ka pani
main na kahta tha meri pyas se dariya kam hai
KHud se milne ki kabhi ganw mein fursat na mili
shahr aae hain yahan milna-milana kam hai
aaj kyun aaankhon mein pahle se nahin hain aansu
aaj kya baat hai kyun mauj mein dariya kam hai
apne mehman ko palkon pe biTha leti hai
muflisi jaanti hai ghar mein bichhauna kam hai
bas yahi soch ke karne lage hijrat aansu
apni lashon ke muqabil yahan kandha kam hai
dil ki har baat zaban par nahin aati hai 'fahim'
main ne socha hai ziyaada use likkha kam hai
Ghazal
Sham KHamosh hai peDon pe ujala kam hai
Faheem Jogapuri