sham ke maskan mein viran mai-kade ka dar khula
bab guzri sohbaton ka KHwab ke andar khula
kuchh na tha juz KHwab-e-wahshat wo wafa is ahd ki
raaz itni der ka is umr mein aa kar khula
ban mein sargoshi hui aasar-e-abr-o-baad se
band-e-gham se jaise ek ashjar ka lashkar khula
jagmaga uTTha andhere mein meri aahaT se wo
ye ajab us but ka meri aankh par jauhar khula
sabza-e-nau-rasta ki KHushbu thi sahil par 'munir'
baadalon ka rang chhatri ki tarah sar par khula
Ghazal
Sham ke maskan mein viran mai-kade ka dar khula
Muneer Niyazi

