اردو हिंदी
Sham ke Dhalte suraj ne ye baat mujhe samjhai hai | Shaahi Shayari
sham ke Dhalte suraj ne ye baat mujhe samjhai hai

Ghazal

Sham ke Dhalte suraj ne ye baat mujhe samjhai hai

Shayan Quraishi

;

sham ke Dhalte suraj ne ye baat mujhe samjhai hai
tariki mein dekh sakun to aankhon mein binai hai

ehsasat ki tah tak jaana kitna mushkil hota hai
zehn-o-dil mein jitna utro utni hi gahrai hai

rishte-nate bahar se to jism ko ghere baiThe hain
ruh ke andar jhank ke dekho milon tak tanhai hai

lafzon ne hi nashtar ban ke dil ko gahre zaKHm diye
lafzon ne hi zaKHm-e-dil ko ThanDak bhi pahunchai hai

piTh pe karta war to shayad mein sadme se mar jata
main to KHush hun main ne us se choT jigar pe khai hai

kamron ke baTware mein ek kamra zaid jaane do
lekin ye ehsas bacha lo apna hi to bhai hai

dip jala kar duniya wale is tili ko bhul gae
lekin sach hai dipak raushan karti diya-salai hai

majzubon ke khel samajhna sab ke bas ki baat nahin
pahle zaKHm udheD ke jaana phir us ki turpai hai

raaten apni raushan kar lo ashkon se 'shayan' abhi
waqt se pahle apne safar ki tayyari danai hai