sham ke aasar gile hain bahut
phir meri aaankhon mein tile hain bahut
tum se milne ka bahana tak nahin
aur bichhaD jaane ke hile hain bahut
kisht-e-jaan ko KHushk-sali kha gai
mausamon ke rang pile hain bahut
barf pighli hai faraaz-e-arsh se
aasman ke rang nile hain bahut
bel ki surat hain hum phaile hue
hum faqiron ke wasile hain bahut
main bhi apni zat mein aabaad hun
mere andar bhi qabile hain bahut
log basti ke bhi hain shirin-sifat
mere naghme bhi rasile hain bahut
'qais' hum jogi hain apne shahr ke
nag to hum ne bhi kile hain bahut
Ghazal
Sham ke aasar gile hain bahut
saeed Qais