sham kaThin hai raat kaDi hai
aao ki ye aane ki ghaDi hai
wo hai apne husn mein yakta
dekh kahan taqdir laDi hai
main tum ko hi soch raha tha
aao tumhaari umr baDi hai
kash kushada dil bhi rakhta
jis ghar ki dahliz baDi hai
phir bichhDe do chahne wale
phir Dholak par thap paDi hai
wo pahuncha imdadi ban kar
jab jab hum par biphar paDi hai
shahr mein hai ek aisi hasti
jis ko meri taklif baDi hai
hans le 'rahbar' wo aae hain
rone ko to umr paDi hai
Ghazal
Sham kaThin hai raat kaDi hai
Rajendra Nath Rahbar