sham hone wali thi jab wo mujh se bichhDa tha zindagi ki rahon mein
subh jab main jaga tha wo jo mujh se bichhDa tha so raha tha bahon mein
mai-kade mein sab ke sab jam hath mein le kar doston mein baiThe the
dur log masjid mein rab ko yaad karte the dil ki bargahon mein
wo zamin ke shahzade tir aur kaman le kar jangalon mein phirte the
ek hiran jo zaKHmi tha dauDta hua aaya radhika ki bahon mein
hum pale charaghon mein raushni se rishta tha nur hum mein rahta tha
chand le ke wo nikle jin ko hum ne dekha tha zulmaton ki bahon mein
auraton ki aankhon par kale kale chashme the sab ki sab barahana thin
zahidon ne jab dekha sahilon ka ye manzar likh diya gunahon mein
hum ne ahd-e-wusta ke sare taj-daron ki yaadgaren dekhi hain
taj sab mein yakta hai aur shahjahan tanha sare baadshahon mein

Ghazal
Sham hone wali thi jab wo mujhse bichhDa tha zindagi ki rahon mein
Zubair Rizvi