sham-e-wada ka Dhal gaya saya
aane wala abhi nahin aaya
zindagi ke ghamon ko apna kar
hum ne dar-asl tum ko apnaya
justuju hi dilon ki manzil thi
hum ne kho kar tujhe, tujhe paya
zindagi nam hai judai ka
aap aae to mujh ko yaad aaya
hum ne teri jafa ke parde mein
KHud bhi dil par bahut sitam Dhaya
zindagi se to KHair shikwa tha
muddaton maut ne bhi tarsaya
'shad' ahhl-e-tarab ko bhi aksar
meri afsurdagi pe pyar aaya
Ghazal
Sham-e-wada ka Dhal gaya saya
Naresh Kumar Shad