sham-e-gham ki sahar nahin hoti
aah bhi kargar nahin hoti
jab uThate hain wo naqab-e-ruKH
mere bas mein nazar nahin hoti
mere zaKHm-e-jigar ko wahshat mein
hajat baKHiya-gar nahin hoti
us se ummid-e-rahm kya karte
jis ki sidhi nazar nahin hoti
kashmakash mein hun main masaib ke
zindagani basar nahin hoti
aise aalam mein dekhta hun main
jab kisi ki nazar nahin hoti
ghair ki samt dekhne wale
kyun tawajjoh idhar nahin hoti
tul khincha hai yun shab-e-gham ne
kisi surat sahar nahin hoti
dil churaati hai yun nigah-e-naz
aur mujh ko KHabar nahin hoti
dil laga kar sukun ghalat 'sajid'
aashiqi chaaragar nahin hoti
Ghazal
Sham-e-gham ki sahar nahin hoti
Sajid Siddiqi lakhnavi