sham-e-gham ki hai ata subh-e-masarrat di hai
zindagi ne hamein ehsas ki daulat di hai
kaise kaise tere ehsas ki chaTTanon ko
main ne lafzon mein tarasha hai to surat di hai
meri muTThi mein hai har KHwab ki tabir magar
tu ne ai wahshat-e-dil kab mujhe mohlat di hai
apne isar tah-e-lafz-o-bayan rakkhe hain
tere ikram ko sau tarah se shohrat di hai
tum ne be-dam KHaride hain KHushi ke saman
hum ne har ek KHushi ki baDi qimat di hai
kitne mauhum ishaaron se phir aane ki mujhe
DabDabai hui in aankhon ne dawat di hai

Ghazal
Sham-e-gham ki hai ata subh-e-masarrat di hai
Raunaq Raza