sham-e-gham hai teri yaadon ko saja rakkha hai
main ne danista charaghon ko bujha rakkha hai
aur kya dun main gulistan se mohabbat ka subut
main ne kanTon ko bhi palkon pe saja rakkha hai
jaane kyun barq ko is samt tawajjoh hi nahin
main ne har tarah nasheman ko saja rakkha hai
zindagi sanson ka tapta hua sahra hi sahi
main ne is ret pe ek qasr bana rakkha hai
wo mere samne dulhan ki tarah baiThe hain
KHwab achchha hai magar KHwab mein kya rakkha hai
KHud sunata hai unhen meri mohabbat ke KHutut
phir bhi qasid ne mera nam chhupa rakkha hai
kuchh na kuchh talKHi-e-haalat hai shamil 'razmi'
tum ne phulon se bhi daman jo bacha rakkha hai
Ghazal
Sham-e-gham hai teri yaadon ko saja rakkha hai
Muzaffar Razmi