sham-e-gham bimar ke dil par wo ban aai ki bas
har taraf tarikiyan aur aisi tanhai ki bas
dil ki barbaadi ka afsana abhi chheDa hi tha
anjuman mein har taraf se ek sada aai ki bas
un ki aankhon mein jo ashk aae to yun aae ki uf
un ke honTon par hansi aai to yun aai ki bas
umr-bhar ke waste chup ho gaya bimar-e-gham
aap ne ki bhi to ki aisi masihai ki bas
kya kahen 'rahi' ki apnon se hamein kya kya mila
wo nawazish wo karam wo izzat-afzai ki bas
Ghazal
Sham-e-gham bimar ke dil par wo ban aai ki bas
Rahi Shahabi