sham-e-furqat intiha-e-gardish-e-ayyam hai
jitni subhen ho chuki hain aaj sab ki sham hai
ku-e-jaanan dekh kar jannat se yun mayus hun
puchhta phirta hun kya jannat isi ka nam hai
is tarah duniya hai ek mamura-e-naz-o-niyaz
zarre zarre par mera sajda tumhaara nam hai
allah allah ye taghaful aur is par ye ghurur
kya mujhe nakaam kar dena bhi koi kaam hai
han nahin 'simab' mujh ko apni hasti par ghurur
jaanta hun main meri duniya fana-anjam hai
Ghazal
Sham-e-furqat intiha-e-gardish-e-ayyam hai
Seemab Akbarabadi

