sham-e-alam se pahle bhi subh-e-tarab ke baad bhi
shauq-e-talab na miT saka tark-e-talab ke baad bhi
phir ye wahi gham-e-firaq phir hai wahi kisi ki yaad
uf ye siyah-baKHton ruKHsat-e-shab ke baad bhi
farz tha ehtiram-e-dost tak magar na ruk sake
baat labon tak aa gai pas-e-adab ke baad bhi
sara ghurur-e-ashiqi KHak mein mil ke rah gaya
ho gaya un ka samna tark-e-talab ke baad bhi
raunaq-e-zist ho gai waqt ki talKHiyon mein gum
lab pe hansi na aa saki izn-e-tarab ke baad bhi
jo bhi ho ab maal-e-gham jo bhi ho ab nasib-e-ishq
main ne diye saba diye aalam-e-shab ke baad bhi
chaliye meri KHata sahi apna karam bhi dekhiye
jam na mil saka mujhe daur mein sab ke baad bhi
Ghazal
Sham-e-alam se pahle bhi subh-e-tarab ke baad bhi
Meraj Lakhnavi