sham Dhalte hi tere dhyan mein aa jata hun
yaad karti ho to ek aan mein aa jata hun
raat hai jashn meri ruh ki aazadi ka
subh phir jism ke zindan mein aa jata hun
main nahin kuchh bhi magar teri nazar paDte hi
kuza-gar main kisi imkan mein aa jata hun
tujh se likkhe hain mere naqsh su-e-KHak yahan
aasman se isi ehsan mein aa jata hun
dekh kar mujh ko chamakti hain nigahen teri
shukr hai main teri pahchan mein aa jata hun
sham bujhta hua suraj hai janaza din ka
main bhi chand ashk liye lawn mein aa jata hun
Ghazal
Sham Dhalte hi tere dhyan mein aa jata hun
Saleem Figar