sham Dhale us bazm-e-tarab mein mera jaana KHub hua
mujh ko achanak samne pa kar wo kitna mahjub hua
dasht-e-sitam mein kitni saliben istada thin chaar-taraf
shah ke hath pe baiat kar li koi na yan maslub hua
ruswai ke sae hamesha pichha karte rahte hain
mujh se gurezan ho kar bhi wo mujh se hi mansub hua
kucha-e-yar mein jaana ho to tark-e-ana hai pahla qadam
ishq kisi se kya karta wo jo apna mahbub hua
ujDi jab se mahfil-e-yaran taur badal gae jine ke
zaKHm mera pairahan Thahra dard mera uslub hua
ahd-e-nau ki ijadon se lazzat-e-nama-bari bhi gai
shishe par kuchh harf likhe hain ye kaisa maktub hua
apne aib pe chashm-e-zamana mushkil hi se jati hai
be-chehra the dekhne wale aaina matub hua
rah gae kuchh yaadon ke sae kuchh lafzon ki raushaniyan
aaKHir meri umr ka suraj Dhalte Dhalte ghurub hua
Ghazal
Sham Dhale us bazm-e-tarab mein mera jaana KHub hua
Farasat Rizwi

