اردو हिंदी
Sham achchhi hai na sahar achchhi | Shaahi Shayari
sham achchhi hai na sahar achchhi

Ghazal

Sham achchhi hai na sahar achchhi

Nazim Naqvi

;

sham achchhi hai na sahar achchhi
yar bhejo koi KHabar achchhi

KHub pai hai ye nazar achchhi
is taraf hai buri udhar achchhi

hai ye taswir kitne chehron ki
kahin aankhen kahin kamar achchhi

ab kahin bhi nazar nahin aati
wo jo thi ek rahguzar achchhi

kis taraf jae aadmi aaKHir
hai faza dasht mein kidhar achchhi

is mein achchha hai kya pata 'nazim'
mujh ko lagti hai wo magar achchhi