اردو हिंदी
Sham aai to koi KHush-badni yaad aai | Shaahi Shayari
sham aai to koi KHush-badni yaad aai

Ghazal

Sham aai to koi KHush-badni yaad aai

Azm Bahzad

;

sham aai to koi KHush-badni yaad aai
mujhe ek shaKHs ki wada-shikni yaad aai

mujhe yaad aaya ki ek daur tha sargoshi ka
aaj usi daur ki ek kam-suKHani yaad aai

masnad-e-naghma se ek rang-e-tabassum ubhra
khilkhilati hui ghuncha-dahni yaad aai

lab jo yaad aae to boson ki KHalish jag uThi
phul mahke to mujhe be-chamni yaad aai

phir tasawwur mein chali aai mahakti hui shab
aur simTi hui be pairahani yaad aai

han kabhi dil se guzarta tha julus-e-KHwahish
aaj usi tarah ki ek nara-zani yaad aai

qisa-e-rafta ko dohra to liya 'azm' magar
kis masafat pe tumhein be-watani yaad aai