shaKH pe chiDiya gati hai
jo kuchh hai lamhati hai
palken bhigi rahti hain
dil ki faza jazbaati hai
baat karun ya sher kahun
ek si KHushbu aati hai
shahr mein hun aur tanha hun
rang mera qasbaati hai
fikr hai mujh ko apni hi
gham bhi mera zati hai
hukm na do bedari ka
nind hi kis ko aati hai
lams-e-ana par itna naz
KHushbu hai uD jati hai
shama ki surat qismat bhi
jalte hi bujh jati hai
qaid-e-qafas mein ab 'nazir'
ruh bahut ghabraati hai
Ghazal
ShaKH pe chiDiya gati hai
Nazir Siddiqi