shaKH-e-ummid jal gai hogi
dil ki haalat sambhal gai hogi
'jaun' us aan tak ba-KHair hun main
zindagi daw chal gai hogi
ek jahannum hai mera sina bhi
aarzu kab ki gal gai hogi
sozish-e-partaw-e-nigah na puchh
mardumak to pighal gai hogi
hum ne dekhe the KHwab shoalon ke
nind aankhon mein jal gai hogi
us ne mayus kar diya hoga
phans dil se nikal gai hogi
ab to dil hi badal gaya ab to
sari duniya badal gai hogi
dil gali mein raqib dil ka julus
wan to talwar chal gai hogi
ghar se jis rose main chala hunga
dil ki dilli machal gai hogi
dhup yani ki zard zard ek dhup
lal qile se Dhal gai hogi
hijr-e-hiddat mein yaad ki KHushbu
ek pankha sa jhal gai hogi
aai thi mauj-e-sabz-e-baad-e-shimal
yaad ki shaKH phal gai hogi
wo dam-e-subh ghusl-KHane mein
mere pahlu se shal gai hogi
sham-e-subh-e-firaq daim hai
ab tabiat bahal gai hogi
Ghazal
ShaKH-e-ummid jal gai hogi
Jaun Eliya