shaKH-e-mizhgan-e-mohabbat pe saja le mujh ko
barg-e-awara hun sarsar se bacha le mujh ko
raat-bhar chand ki ThanDak mein sulagta hai badan
koi tanhai ke dozaKH se nikale mujh ko
dur rah ke bhi hai har sans mein KHushbu teri
main mahak jaun jo tu pas bula le mujh ko
main teri aankh se Dhalka hua ek aansu hun
tu agar chahe bikharne se bacha le mujh ko
shab ghanimat thi ki ye zaKHm-e-nazara to na tha
Das gae subh-e-tamanna ke ujale mujh ko
main munaqqash hun teri ruh ki diwaron par
tu miTa sakta nahin bhulne wale mujh ko
subh se sham hui ruTha hua baiTha hun
koi aisa nahin aa kar jo mana le mujh ko
tah-ba-tah mauj-e-talab khinch rahi hai 'mohsin'
koi girdab-e-tamanna se nikale mujh ko
Ghazal
ShaKH-e-mizhgan-e-mohabbat pe saja le mujhko
Mohsin Ehsan