اردو हिंदी
ShaKH-e-arman ki wahi be-sabri aaj bhi hai | Shaahi Shayari
shaKH-e-arman ki wahi be-sabri aaj bhi hai

Ghazal

ShaKH-e-arman ki wahi be-sabri aaj bhi hai

Ahmad Azimabadi

;

shaKH-e-arman ki wahi be-sabri aaj bhi hai
mojib-e-girya-e-sham-o-sahri aaj bhi hai

wahi aaina-ba-kaf dida-wari aaj bhi hai
un mein pahle ki tarah KHud-nigari aaj bhi hai

sang-baron ke liye dard-sari aaj bhi hai
kal garan thi jo meri shisha-gari aaj bhi hai

aaj bhi morid-e-ilzam hai masum nigah
jurm ilzam se kal bhi tha bari aaj bhi hai

baat dushwari-e-manzil ki nai baat nahin
rah pahle bhi thi kanTon se bhari aaj bhi hai