shairi meri tapasya lafz hai bargad mera
ye zamin sari zamin mushfiq zamin mabad mera
main gaya ki raushni hun main hira ka nur hun
tu fana ke hath se kyun napta hai qad mera
dhyan ke gunge safar se bhi nikal jaun magar
rasta roke khaDi hai sans ki sarhad mera
umr-bhar suraj tha sar par dhup thi mera libas
ab ye KHwahish hai ghani chhanw mein ho marqad mera
kah diya tha main purani soch ka shajara nahin
aaj tak munh dekhte hain mere KHal-o-KHad mera
mujh se aage bhi hain kuchh taza sadaon ke alam
main 'zafar' ka laDla hun pesh-rau 'amjad' mera
Ghazal
Shairi meri tapasya lafz hai bargad mera
Nisar Nasik