اردو हिंदी
Shair-e-rangin fasana ho gaya | Shaahi Shayari
shair-e-rangin fasana ho gaya

Ghazal

Shair-e-rangin fasana ho gaya

Agha Shayar Qazalbash

;

shair-e-rangin fasana ho gaya
sher bulbul ka tarana ho gaya

is qadar naqshe utare yar ne
ye jahan taswir-kHana ho gaya

wo chaman ki yaad ne muztar kya
zahr mujh ko aab-o-dana ho gaya

aankh se Tapki jo aansu ki laDi
qafila gham ka rawana ho gaya

jaan lene aae the 'shair' wahi
maut ka to ek bahana ho gaya